Friday, November 14, 2008

seekh

kabhi kabhi samajh nahi aata ki main chal rahi hoon ya tham gayi...jaise hi kuch kadam aage badte hain, jane kahaan se ek ajeeb sa thaharav aa jata hai. kya meri zindagi ab shuru hui hai, ya kahin se aake tham gayi?
kuch saal pehele tak mere charo taraf karvaan sa lagaa rahta tha, ab sirf chand log hain jinhe main apna humsafar manti hoon. aage ye saath denge ya nahi, ye to waqt hi taye karega, jab tak hain, hain.
meri yahi chalti- rukti zindagi ne ek bahut ehem baat sikhai hai mujhe: khush rahna sirf apne hatho mein hi hai; apni khushiyon par kisi aur ko haq dena, khudkhushi se kam nahi.

2 comments:

Supriya Dutta said...

ore sabaaas.......but on serious note...u made me look back and provoked an unsaid thought for the unseen future...

abhijit said...

ye jeevan hai...is jeevan ka...yehi hai...yehi hai... yehi hai rang rup...thode gham aur thodi khushiyon se bhari... aisi hi hai zindagi. The most important thing is to live it. Every moment of it. In your own way. That's it!

my favourite shots

my favourite shots
my set of crayons!